Thursday 10 March 2016

Bin tere adhure mere git

Main raag hu tu meri Ragini ,
Main saaj hu tu meri sangit !
Bin tere adhure mere git ,
Bin tere adhure mere git !

Tum hi ho meri jindgani ,
Adhuri hain meri tum bin kahani !
Tu ban ja bol mere main ban jaun git ,
Mil jul ke denge ham nye sangit !
Mil jul ke denge ham nye sangit !

Bin tere adhure mere........

Kaise rahogi tum mujhse juda ,
Tu pahiya hain main teri gadi !
Tu nadiya hain main tera sagar ,
Hokar rahega ye apna sangm !
Hokar rahega ye apna sangam !

Bin tere adhure mere........

Tu bagiya ki ful hai ,
main bagiyn ka bhanvara !
Mere bin tum tum bin mera ,
Adhura ye apna prem Sara !
Adhura ye apna prem Sara

Bin tere adhure mere........

No comments:

Post a Comment