Monday 14 March 2016

Kal jo chalte the sath hamare , Aaj unko Hamari Yaad Tak nahin Aati !

Kal jo chalte the sath hamare ,
Aaj unko Hamari Yaad Tak nahin Aati !
Jal Rahe hain yaad me Unke ,
Fir hame Aaj maut kyon nhin Aati !

Jhuth ke is dal dal me ,
Sach ki raah najar nahin Aati !
Kal jo sath chalte the ,
Aaj vo kahi najar nahin Aati !

Vo jante hain hme pata hain vo bevfa hain ,
Fir bhi unnhe sharm nahin Aati !
Pyar ke is raah me ,
Ab koi manjil mujhe najar nahin Aati !

Koi ummid nahin Ab ,
Koi milne ke Aasar najar nahin Aati !
Ghor andhiyara hain ,
Koi manjil najar nahin Aati !

Kal jinhe Aati thi hampar hansi ,
Aaj unko Hampar Hansi kyo nahin Aati !
Soya nahin kai roj se main ,
Fir Hame Aaj Nind kyo nahi Aati !

Mana mukarr hain maut ka ek din ,
Fir jine ki raah najar kyon nahin Aati !
Thak gyaa hu is jivan se ,
Ab hame chir nidra kyo nhin Aati !

No comments:

Post a Comment