Thursday 10 March 2016

Tere hasin chehare ki main kya tarif karu

Tere hasin chehare ki main kya tarif karu ,
Tum ho lajvab Teri kya main tarif karu !

Fulo ki rangat hain tujhse ,
Kaliyon ki pahechan hain tujhse ,
Tujhse hi hain khushanuma ye shamaa ,
Tujhse hi hain ye roshn jahan ,

Tere hasin chehare ki...........

Teri hi mahek hain in vadiyon me ,
Teri hi kasak hain in vadiyon me ,
Tujhse hi hain sangit sare ,
Tu hi hain mere jivan ki sur taal ,

Tere hasin chehare ki...........

Teri muskan se khilte hain ful ,
 Tere hi payal ki khnak se ,
Nikalte hain ye chand tare ,
Tujhse hai hain ye duniya hasin ,

Tere hasin chehare ki...........

No comments:

Post a Comment